phir wahi hum hain khayal-e-rukh-e-zeba hai wahi sar-e-shorida wahi ishq ka sauda hai wahi dana-o-dam sambhaala mere sayyaad ne phir apni gardan hai wahi ishq ka phanda hai wahi phir lagi rahne tasawwur mein wo mizhgan-e-daraaz rag-e-jaan mein khalish-e-khar-e-tamanna hai wahi phir laga rahne wahi silsila-e-naz-o-niyaz jalwa-e-husn wahi zauq-e-tamasha hai wahi phir hua hum ko dil-o-din ka bachana mushkil nigah-e-naz ka phir hum se taqaza hai wahi naz ne phir kiya aaghaz wo andaz-e-niyaz husn-e-jaan-soz ko phir soz ka dawa hai wahi mahw-e-did-e-chaman-e-shauq hai phir dida-e-shauq gul-e-shadab wahi bulbul-e-shaida hai wahi phir chamak utthi wo kajlai hui chingari rakht-e-hasti hai wahi ishq ka shoala hai wahi aarzu ji uthi phir pyar jo us but ne kiya phir lab-e-yar mein ejaz-e-masiha hai wahi pas-e-namus ne phir rukhsat-e-raftan chahi shohrat-e-husn wahi ulfat-e-ruswa hai wahi phir hui laila-o-majnun ki hikayat taza un ka aalam wahi 'nairang' ka naqsha hai wahi