ye mashwara baham uTThe hain chaara-ju karte

ye mashwara baham utthe hain chaara-ju karte
ki ab mariz ko achchha tha qibla-ru karte

zaban ruk gai aakhir sahar ke hote hi!
tamam raat kati dil se guftugu karte

sawad-e-shahr-e-khamoshan ka dekhiye manzar!
suna na ho jo khamoshi ko guftugu karte

tamam ruh ki lazzat isi pe thi mauquf
ki zindagi mein kabhi tum se guftugu karte

jawab hazrat-e-naseh ko hum bhi kuchh dete
jo guftugu ke tariqe se guftugu karte

pahunch ke hashr ke maidan mein haul kyun hai 'aziz'
abhi to pahli hi manzil hai justuju karte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close