aaenge wo kabhi magar zist ka eatibar kya laega rang dekhiye aalam-e-intizar kya apni khushi na aae hain apni khushi na jaenge un ke harim-e-naz mein hum ko hai ikhtiyar kya qaid-e-qafas mein ham-nafas guzri ho jis ki zindagi us ko khizan ki kya khabar jaanega wo bahaar kya hai ye hayat-e-jawedan hai yahi aish-e-sarmadi hain jo wafa mein lazzaten jaane sitam-shiar kya bazi-e-ishq haar kar baithe hain be-khabar se hum sud hai kya ziyan hai kya naqd hai kya udhaar kya kashmakash-e-hayat hai raunaq-e-mahfil-e-hayat dil ko hamare jite ji aaega phir qarar kya mausam-e-gul ke aate hi hum to asir ho gae qaid-e-qafas hai ai 'nazir' hasil-e-nau-bahaar kya