khuda malum jab ghunche hanse shabnam pe kya guzri tabassum ki faza mein dida-e-pur-nam pe kya guzri jali shakh-e-nasheman tak nasheman ki rifaqat mein pata kya bijliyon ko ham-safiro hum pe kya guzri na paya farq asiri aur aazadi mein jab koi kahun kya us ghadi apne dil-e-pur-gham pe kya guzri aziz-e-misr kya jaane ye puchho pir-e-kanan se ki furqat mein pisar ki dida-e-pur-nam pe kya guzri use mahsus kar sakta bhala kya zauq-e-iblisi ki jannat se nikalne mein dil-e-adam pe kya guzri nasheman ki na chhodi khak bhi barq-e-hawadis ne ye manzar dekh kar hum kya bataen hum pe kya guzri na suljhe tum ne suljhane ko waise lakh suljhaya meri wahshat se dekho gesu-e-barham pe kya guzri jo ho be-dard us ko dard ka ehsas kyunkar ho sitamgar ki bala jaane sitam se hum pe kya guzri gham-e-jaanan hi kya kam tha gham-e-dauran bhi apnaya khuda jaane asir-e-gesu-e-pur-kham pe kya guzri hamari ek jurat ne jo zauq-e-zindagi badla bataen kya dil-e-na-ashna-e-gham pe kya guzri sabab yaran-e-sahil ai 'nazir'-e-zar kya jaanen ki tufan-e-bala mein dubton ke dam pe kya guzri