ai khuda aisa moajiza ho koi ishq mein mere mubtala ho koi is tarah dekhta hun main us ko jis tarah khwab dekhta ho koi ain mumkin hai is ghazal mein sher mere hissa ke kah raha ho koi rab ka jo har kaha qubul kare us ke honton pe kya gila ho koi gum-shuda likh ke ek parche par meri taswir bantta ho koi shab-e-furqat ka gham liye ghar mein aaj ki raat jagta ho koi dastaras mein nahin hai chain-o-sukun zindagi gham ka silsila ho koi jhum uthte hain dekh kar us ko naghma-e-zindagi nasha ho koi