aafiyat zulm se aur pyar qaza se manga

aafiyat zulm se aur pyar qaza se manga
hum ne insaf bhi arbab-e-jafa se manga

kar diya khuld ke har khet se be-dakhl hamein
hissa jab dana-e-gandum mein khuda se manga

jab jhatak kar uthe hum nind se bojhal sapne
tazgi subh se li sans saba se manga

nur jab chaha kiya apne hi mathe se tulua
saya manga to teri zulf-e-dota se manga

wo bhatakta raha manzil ke qarib aawara
jis ne manzil ka pata rah-numa se manga

haq-o-nahaq ki ladai ki sawaneh hai gawah
bhik mein rahm usi munim ne gada se manga

wo mera nutq hi de de to ghanimat 'shaukat'
lahn-e-daud nahin naghma-sara se manga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close