aag apne hi daman ki zara pahle bujha lo fursat ho to phir hum ko bhi jalne se bacha lo ai qismat-e-farda ke khush-aind khayalo raaten na sahi din hi mere aa ke ujalo patthar ke sanam bhi kabhi kuchh bol sake hain ai but-shikan azhan ke khamosh sawalo tum mein to mera aahu-e-khush-gam nahin hai ai wadi-e-takhill ke gum-gashta ghazalo mitti hui taswir mein kya rang bharoge mitna tha jinhen mit gae tum khud ko sambhaalo ek dard ki daulat tumhein hum saunp chale hain ab us ko luta do ki hayat apni bana lo baad-e-sahari phul khila aai chaman mein kuchh tum bhi lahu apne shahidon ka uchhaalo in rahon mein wo naqsh-e-kaf-e-pa to nahin hai kyun phut ke roe ho yahan panw ke chhaalo chehre pe thakan baalon mein gard aankhon mein surkhi lamba hai safar panw ke kante to nikalo phir saat-e-didar 'wahid' aae na aae taswir bana kar unhen aankhon mein chhupa lo