aankh jo nam ho wahi dida-e-tar mera hai mauj-e-gham utthe kahin us ka guhar mera hai dekh lun main to sitare hain na dekhun to dhuan kya rasa itna kaf-e-dast-e-nazar mera hai samar o gul hain gulistan-faroshon ke liye aabyari ke liye khun-e-jigar mera hai qasr ho ya ki lahad donon kiyraye ke makan roz kahta hai koi aa ke ye ghar mera hai dasht ki udti hui ret pe likh dete hain log ye zamin meri ye diwar ye dar mera hai is shar-abaad kharabe mein kahan husn-o-jamal husn jitna bhi hai sab husn-e-nazar mera hai maut hai jurat-e-izhaar ki pazmurda-labi saz-e-takhliq lab-e-arz-e-hunar mera hai wo khuda ho to ho main dhundne kyun jaun use khud hi apna le mujhe badh ke wo gar mera hai kat ke sar padhte hain nezon pe bhi quran 'wahid' juzw-e-tan rah ke bhi chup kis liye sar mera hai