aag barasti lagti hai diwaron se 'saib' kya likh aae ho angaron se qatl ke baad mujhe sae mein dal aate itni to ummid thi mujh ko yaron se mera dukh-sukh bantne to aa jate hain ham-sae achchhe hain rishte-daron se dekh lo apna sar rakkha hai nezon par fasla hum ne rakkha hai dastaron se aakhir kab tak qatl ki khabren padhni hain ab to wahshat hoti hai akhbaron se