zalim ye KHamoshi beja hai iqrar nahin inkar to ho

zalim ye khamoshi beja hai iqrar nahin inkar to ho
ek aah to nikle tod ke dil naghme na sahi jhankar to ho

har sans mein sadha naghme hain har zarre mein lakhon jalwe hain
jaan mahw-e-rumuz-e-saz to ho dil jalwa-gah-e-anwar to ho

shakhon ki lachak har fasl mein hai saqi ki jhalak har rang mein hai
saghar ki khanak har zarf mein hai makhmur to ho sarshaar to ho

kyunkar na shab-e-mah raushan ho kyun subh na daman chaak kare
kuchh wasf-e-rumuz-e-husn to ho kuchh sharh-e-jamal-e-yar to ho

sine mein khataen muztar hain inam ka wo iqrar karen
mansur hazaron ab bhi hain ai 'josh' sile mein dar to ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close