aag jab zakhm-e-jigar be-intiha dene lage chaara-gar ghabra ke uf uf ki sada dene lage ab kahan tha main jo deta is mohabbat ka jawab jis ki turbat dekh li mujh ko sada dene lage daman-e-sabr-o-tahammul hath se khud chhut gaya tut kar zakhmon ke tanke jab sada dene lage hijr ki raaton ke sannate mein uf ri be-khudi hum dil-e-gum-gashta ko apni sada dene lage hath bhi ghabra ke main ne qalb-e-nazuk par rakhe jab zara si chot mein shishe sada dene lage jaankani ka waqt bhi baqi rahe tum bhi raho dekhne aae to kya achchhi dagha dene lage mai-kade mein hum se maston ki khushi kya ranj kya mil gae do-chaar saghar aur dua dene lage munhasir marne pe ho jab surat-e-taskin-e-dil kosna main is ko samjhun jo dua dene lage zalim-o-mazlum ka mahfil mein kal nikla tha zikr wo hamara aur hum un ka pata dene lage marne wale phir na ai 'jawed' kholen apni aankh gar qasam badhti hui un ki haya dene lage