marna taqdir hai zanjir baja lo pahle kuchh ho sayyaad se aankhen to mila lo pahle abr tum khul ke barasna sar-e-gulzar-e-hayat dushman-e-gul pe zara barq gira lo pahle dar ki samt rawan ho magar ai diwano ek jahan dad-gar apna to bana lo pahle ishq ka zahr jo ghul jae to pi lo be-gham jam-e-mai aur zara tez mila lo pahle arsh-e-taqdis ko jate hue ai aadam-e-nau kahkashan gard hai raste se hata lo pahle tum ne sun rakkha hai aazadi-e-'jawed' ka nam marg ki aankh se aankhen to mila lo pahle