chhed den gar qissa-e-gham sham se ki rahenge subh tak aaram se chahiye hum ko ki bedari rahe aashna hun hashr se anjam se jo bulata tha wo shakhs ab ja chuka kaam apna dekhiye aaram se pa gae hum be-gunahi ki saza bach gae sau bar ke ilzam se kat rahi hai zindagi ab dasht mein hum ko kya matlab raha hukkaam se kya khabar tujh ko ki kitna roe hum chhut kar sayyaad tere dam se bazm mein 'farhat' bade nashad the munh pe raunaq aa gai ek nam se