aag ke sahra mein apna lamha lamha zard tha baad-e-wahshat chal rahi thi chehra chehra zard tha aa gaya tha raushni ke daere mein jab shigaf aagahi ki saltanat mein saya saya zard tha ek sahifa tha ba-unwan-e-wafadari magar safhe safhe par thi surkhi nuqta nuqta zard tha har koi tha hadson ki tez aandhi ka asir yas ka tha daur-daura chehra chehra zard tha har tanaffus tha baqa ki kashmakash mein mubtala wahimon ki sarzamin ka khitta khitta zard tha is qadar viraniyon ko sath lai thi bahaar ped ka chehra luta tha patta patta zard tha