dua ko hath mera jab kabhi utha hoga qaza-o-qadr ka chehra utar gaya hoga jo apne hathon lute hain bas is pe zinda hain khuda kuchh un ke liye bhi to sochta hoga teri gali mein koi sae raat bhar ab bhi suragh-e-jannat gum-gashta dhundta hoga jo gham ki aanch mein pighla kiya aur aah na ki wo aadmi to nahin koi dewta hoga tumhaare sang-e-taghaful ka kyun karen shikwa is aaine ka muqaddar hi tutna hoga hai mere qatl ki shahid wo aastin bhi magar main kis ka nam lun sau bar sochna hoga ye meri pyas ke saghar tere labon ki sharab rawaj-o-rasm-e-mohabbat ka mojaza hoga phir aarzu ke khandar rang-o-bu mein dub chale fareb-khurda koi khwab dekhta hoga sitare bhi teri yaadon ke bujhte jate hain gham-e-hayat ka suraj nikal raha hoga sada kise den 'naimi' kise dikhaen zakhm ab itni raat gae kaun jagta hoga