aag ko phul kahe jaen khirad-mand apne aur aankhon pe rakhen did ke dar band apne lakh chaha ki gham-o-fikr-e-jahan se chhuten jama-e-dil pe ye sajte rahe paiwand apne shahr mein dhum machati rahi kya taza hawa hum ne dar wa na kiya hum hain gila-mand apne sath-e-qirtas pe utre na teri gul-badani kitne aajiz hue jate hain hunar-mand apne marhala tai na hua ahl-e-tazabzub se koi jurm-e-tashkik se baithe rahe paband apne aisa kuchh gardish-e-dauran ne rakha hai masruf majare ho na sake hum se qalam-band apne hum to mar jate gham-e-hijr ke hathon 'shahid' dasht aafaq mein hote na agar chand apne