qatil ke kuche mein hama-tan jaun ban ke panw mar kar hi taki so to zara paun tan ke paon kyunkar rakhun main sair ko andar chaman ke panw ek umr se to ho rahe khugar hain ban ke panw bhaari hain nazuki se jo mehndi mein san ke panw kahte hain kar diye mere kyun lakh man ke panw kya sath mera dasht-nawardi mein kar sake do-chaar chaukdi mein gae thak hiran ke panw hathon ko hai hawa se gareban-dari hanuz sahra-talab hain mar ke bhi andar kafan ke panw aana hai der der to jaana hai jald jald raftan ke aur hain tere aur aamdan ke panw sadme se hath ke kahin gatta utar na jae kyunkar dabaun us but-e-nazuk-badan ke panw ai dil tu dekh us ki sar-e-zulf mein na ja nadan hai sar pe jo rakhe kale ke phan ke panw kuchh aaj ye bhi aata hai rindo piye hue padte hain bahke bahke jo shekh-e-zaman ke panw pahuncha hai ab to 'sehr' kalam apna dur dur shohrat se lag gae hain hamare sukhan ke panw