aag kya sard hui barf ko pani kar ke hum bhi dariya hue mahsus rawani kar ke puchhiye kis se ki viran hue ghar kaise har koi khush hai yahan naql-e-makani kar ke in ishaaron ki kanayon ki haqiqat malum hum ne alfaz ko dekha tha maani kar ke ek nae din ki shuruat hui jati hai qaflo aage badho khatm kahani kar ke log rakhte hain zaraat se zaminen khush-rang hum bhi dekhen kisi poshak ko dhani kar ke qadr-o-qimat mein izafe ki talab thi jin ko wahi masrur hain ashiya ki girani kar ke yun hi karte rahe jiddat ka gila to 'rahat' har kisi chiz ko rakh doge purani kar ke