ab hasti-e-kharab ka aalam sanwar gaya ek nashsha-e-shabab tha sar se utar gaya guzra hun rah-e-ishq mein manzil se be-niyaz aawaz un ki pai jahan bhi thahar gaya mud mud ke dekhte hain mujhe rahguzar pe log main dekhta hun zoam-e-mohabbat kidhar gaya qadmon ko us ke chhuta hai khud maqsad-e-hayat jo manzil-e-nashat ki had se guzar gaya anjam-e-ishq dekh raha hun 'nazar' se aaj main be-khudi mein apne hi sae se dar gaya