chori kahin khule na nasim-e-bahaar ki khush-bu uda ke lai hai gesu-e-yar ki allah rakkhe us ka salamat ghurur-e-husn aankhon ko jis ne di hai saza intizar ki gulshan mein dekh kar mere mast-e-shabab ko sharmai jari hai jawani bahaar ki ai mere dil ke chain mere dil ki raushni aa aur subh kar de shab-e-intizar ki jurat to dekhiyega nasim-e-bahaar ki ye bhi balaen lene lagi zulf-e-yar ki ai 'hashr' dekhna to ye hai chaudhwin ka chand ya aasman ke hath mein taswir yar ki