aag sinon mein jala kar rakhiye khwab aankhon mein basa kar rakhiye rahaton se lage sadme bhi hain dil ko mazbut bana kar rakhiye id ka din hai gale mil lije ikhtilafat hata kar rakhiye nafraten dil se nikal jaengi hath dushman se mila kar rakhiye tab-e-zanjir nahin hai dil ko zulf-e-pechan ko saja kar rakhiye yaad aa jaegi diwane ki phul jode mein laga kar rakhiye jaane wala na kabhi aaega dil mein yaadon ko basa kar rakhiye ishq ki aag hai munh-zor 'salam' apne daman ko bacha kar rakhiye