ai meri aankho ye be-sud justuju kaisi jo khwab khwab rahin un ki aarzu kaisi ragon mein khun hai shakhon ki surkh-ru ghunche khizan mein ab ke bahaaron ki rang-o-bu kaisi tamam patton ko mausam ne zard zard kiya ye ek shakh-e-tamanna hai sabz-ru kaisi karo to yaad milan ke wo awwalin lamhe ki chhid gai thi nigahon mein guftugu kaisi ye shahr-e-dil mein bhala aaj kis ki aamad hai ye mahw-e-raqs hain khushbuen ku-ba-ku kaisi ufuq ka chehra 'sukhan' is kadar udas hai kyun shafaq ke rang mein ye surkhi-e-lahu kaisi