kahan the shab idhar dekho haya kyun hai nigahon mein agar manzur hai rakh lo mujhe jhute gawahon mein muwahhid wo hun gar main sirr-e-wahdat kan mein kah dun muazzin but-kade mein hon barahman khanqahon mein nazar mujh se chura kar munh chhupa kar kahte jate hain ki ye chori bhi likkhi jaegi tere gunahon mein siyahkari meri ban jae rashk-e-gesu-e-khuban qayamat ko chhupa baitha rahun yarab gunahon mein wahi 'rasikh' to hain kal tak jo maikhane ke darban the bane baithe hain hazrat chaar din se din-panahon mein