aagahi kab yahan palkon pe sahi jati hai baat ye shiddat-e-girya se kahi jati hai hum use anfus o aafaq se rakhte hain pare sham koi jo tere gham se tahi jati hai ek zara thahr abhi mohlat-e-benam-o-nishan darmiyan baat koi hum se rahi jati hai garmi-e-shauq se pighli tere didar ki lau tez ho kar mari aankhon se bahi jati hai shakh-e-nazuk se dam-e-tez hawa-e-furqat na-tawani kahan patton ki sahi jati hai harf-e-inkar likha jis pe hawa ne kal tak rahguzar dil ki taraf aaj wahi jati hai jae jati nahin zulmat magar akasr 'mohsin' ek diya us ki taraf ho to yahi jati hai