wo maqtal mein agar khinche hue talwar baithe hain to hum bhi jaan dene ke liye tayyar baithe hain dar-e-pir-e-mughan par is tarah mai-khwar baithe hain ki kuchh makhmur baithe hain to kuchh sarshaar baithe hain agar wo galiyan dene par aamada hain khalwat mein to hum bhi arz-e-matlab ke liye tayyar baithe hain gala main kat lun khud ek ishaara ho jo abru ka wo kyun mere liye khinche hue talwar baithe hain sahaara jab diya hai kuchh ummid-e-wasl ne aa kar to uth kar bistar-e-gham se tere bimar baithe hain hijab un se wo mera puchhna sar rakh ke qadmon par sabab kya hai jo yun mujh se khafa sarkar baithe hain