walwale jitne safar ke the safar itne na the dur the raushan nagar hum se magar itne na the band aankhen jab khulin to raushni pahchan li be-khabar hum hon to hon par be-basar itne na the maslahat ke hath ab apni ana bhi bik gai be-sar-o-saman the pahle bhi magar itne na the mustahiq aankhen meri jaanib uthi thin jis qadar dukh to ye hai meri shakhon par samar itne na the sath-e-chehra par bhi pahle ek thahraw sa tha dil ki gahrai mein bhi 'mohsin' bhanwar itne na the