ho gae aangan juda aur raste bhi bat gae kya hua ye log kyun ek dusre se kat gae gham ne har ek raste mein khol rakkha tha mahaz hum bhi chehre par hansi ka khol le kar dat gae nafraton ki dhup jhulsane lagi har shakhs ko pyar ke us shahr mein sab ped kaise kat gae dar ki jab sari haqiqat munkashif hum par hui khud-bakhud dar ke sabhi sae achanak hat gae kaun jaane kis nasheman par giri hain bijliyan kis taraf tute hue taron ke ye jhurmat gae mo'atabar hone lagin jab bazm mein tarikiyan khamushi ki ot mein hum log pichhe hat gae ghar se ai 'anjum' zara bahar nikal kar dekhna log kahte hain ki ab tarik baadal chhat gae