aage pahuncha jal ka dhaara bajra pichhe chhut gaya rasta chhod sawaron ko main piyaada pichhe chhut gaya ye basti kaun si basti hai aa ke kahan bas thahar gai jis dham utarna chaha tha wo qasba pichhe chhut gaya aage aage lambi dagar hai ret bhare maidanon ki jis tat ek pal thahre the wo dariya pichhe chhut gaya baithe hain sailani sare patjhad hai wishwason ka mandir chhuta girja chhuta kaba pichhe chhut gaya waqt ki khana-bandi sari ab ke safar mein dhul hui mazi kaisa haal kahan ka farda pichhe chhut gaya kitne kuchh the jiwan-sathi kitne kuchh the lahu sharik chehra sab ka sath hai lekin rishta pichhe chhut gaya chhota kamra habs bala ka chhoti aql ke aashiq hum wahshat karne jaen kahan jab sahra pichhe chhut gaya