wo shokh dil-o-jaan ki tamanna to na nikla shoala to na nikla wo sharara to na nikla mahsus kiya dard ke har rup mein us ko aawaz ka afsun kabhi jhuta to na nikla mahrumi-e-jawed ne donon hi ko mara ye raaz-e-mohabbat koi gahra to na nikla ye dil ka kharaba hi teri rahguzar thi kaba to na nikla wo kalisa to na nikla wo mere muqaddar ki syahi tha sarapa nur-e-shab-e-mahtab sunahra to na nikla hum bhi kisi shirin ke liye khana-badar the farhad rah-e-ishq mein tanha to na nikla is mein teri khalwat ka har ek rang hai paya ye chand sar-e-charkh akela to na nikla pahle se badhi aur gham-e-ishq ki talkhi tu bhi mere dam-saz masiha to na nikla andaz-e-bayan tera 'azim' aur hi kuchh hai dekhe sabhi fankar pa tujh sa to na nikla