aaghaz-e-ashiqi ka allah re zamana har baat bahki bahki har gam walihana wo sajda-ha-e-paiham wo un ka aastana ai kash laut aae guzra hua zamana kaunain ki tawajjoh us be-rukhi pe sadqe honton pe hai tabassum tewar mukhalifana mujh ko na thi gawara apni shikast lekin kya kahiye us nazar ka andaz-e-fatehana sau bar dekh kar bhi yun muztarib hain nazren jaise guzar gaya ho dekhe hue zamana mahsus ho chali hain tanhaiyan unhen bhi rakkhe khuda salamat pindar-e-ashiqana kya ikhtiyar apna majburiyon pe dil ki mana ki mashwara hai naseh ka mukhlisana phir chand aur sitare phaila rahe hain zulmat ek teri yaad se tha raushan siyah-khana rabt-e-nigah-o-dil ko muddat hui hai 'arshi' un ka mera taaruf ab tak hai ghaebana