mukhalifon ke jilau mein wo aaj shamil tha wafa-parast ruton ka jo shakhs hasil tha wo meri zat ki pahchan bhi taaruf bhi mere lahu mein ba-rang-e-hayat shamil tha hasin raat thi hathon mein hath the hum the kanar-e-ab khamoshi thi mah-e-kaamil tha taghayyuraat-e-zamana bhi kya ajab shai hain jo jaan-nisar tha pahle wo aaj qatil tha mujhe bhi faqr ki daulat pe fakhr tha yaro use bhi lal-o-guhar ka ghurur hasil tha bahut hi sada tabiat tha un dinon 'arshad' ki jab wo mehr-o-khulus-o-wafa ka qail tha