hamare pas bhi dil hai ye aksar bolte hain mohabbat kar ke phulon se ye patthar bolte hain kisi ke honth par hansti hain phulon ki dawaen kisi ki aankh mein chhup kar samundar bolte hain kabhi jis mein shahanshahon huzuron ne hukumat ki unhi mahlon ko sare log khandar bolte hain wahan par chur ho jate hai sab sapne taraqqi ke jahan bachche buzurgon ke barabar bolte hain nahin dar hai jo aa kar samne se war karta ho yahan kuchh log aise hain jo hans kar bolte hain