aaghosh-e-sitam mein hi chhupa le koi aa kar tanha to tadapne se bacha le koi aa kar sahra mein uga hun ki meri chhanw koi pae hilta hun ki patton ki hawa le koi aa kar bikta to nahin hun na mere dam bahut hain raste mein pada hun ki utha le koi aa kar kashti hun mujhe koi kinare se to khole tufan ke hi kar jae hawale koi aa kar jab khinch liya hai mujhe maidan-e-sitam mein dil khol ke hasrat bhi nikale koi aa kar do chaar kharashon se ho taskin-e-jafa kya shisha hun to patthar pe uchhaale koi aa kar mere kisi ehsan ka badla na chukae apni hi wafaon ka sila le koi aa kar