aankhon mein aansuon ko ubharne nahin diya mitti mein motiyon ko bikharne nahin diya jis rah par pade the tere panw ke nishan is rah se kisi ko guzarne nahin diya chaha to chahaton ki hadon se guzar gae nashsha mohabbaton ka utarne nahin diya har bar hai naya tere milne ka zaiqa aisa samar kisi bhi shajar ne nahin diya ye hijr hai to is ka faqat wasl hai ilaj hum ne ye zakhm-e-waqt ko bharne nahin diya itne bade jahan mein jaega tu kahan is ek khayal ne mujhe marne nahin diya sahil dikhai de to raha tha bahut qarib kashti ko rasta hi bhanwar ne nahin diya jitna sakun mila hai tere sath rah mein itna sukun to mujhe ghar ne nahin diya is ne hansi hansi mein mohabbat ki baat ki main ne 'adim' us ko mukarne nahin diya