aah ab tak to be-asar na hui kuchh tumhin ko meri khabar na hui sham se fikr-e-subh kya shab-e-hijr mar rahenge agar sahar na hui kis se dil ka suragh paenge hum tu hi ai aarzu agar na hui khalq samjhi mujhi ko diwana chaara farmae chaaragar na hui kuchh nazar kah gai zaban na khuli baat un se hui magar na hui shikwa kya un se khun-e-nahaq ka zindagi thi hui basar na hui hashr ka din bhi dhal gaya 'fani' dil ki rudad mukhtasar na hui