ghurur-e-zat kahin naqd-e-jaan mein chhod aae wo aag phir usi aatish-fishan mein chhod aae azab-e-hijr se tere visal-lamhon tak hum apni zat kahin darmiyan mein chhod aae tamam umr phir us ki talash mein bhatke wo ek sukun jo kachche makan mein chhod aae na ras aaya use meri zat ka thahraw to khud ko is liye barq-e-tapan mein chhod aae chura ke waqt se apne azab ke lamhe ba-shakl-e-sang yad-e-mehrban mein chhod aae hua na yun kabhi ehsas-e-shiddat-e-hijran badan ki dhup tere jism-o-jaan mein chhod aae teri nigah kare ab madar ki tain sitara apna teri kahkashan mein chhod aae guzarta hai kaf-e-saffak se ya phir sar se maal-e-gul to yad-e-baghban mein chhod aae wahin thi darj hikayat-e-na-saburi-e-dil wo ek mod jo tum dastan mein chhod aae