aah bharne ke liye zakhm-e-jigar bhi chahiye nala-o-fariyaad mein to chashm-e-tar bhi chahiye khel ye jina nahin hota hai mere dosto is ki khatir hausla bhi dil jigar bhi chahiye kyon rahen ban kar zamane ki lakiron ke faqir apne jine ka to andaz-e-digar bhi chahiye muflison ke waste jina bahut dushwar hai zar-paraston se agar bachna ho zar bhi chahiye zahiri saj-dhaj ki diwani hai ye duniya bahut fasionable khud ho to aisa hi ghar bhi chahiye sha'iri ka to nahin maqsad ki ho bas sha'iri is ka tamiri koi nuqta-e-nazar bhi chahiye tira-bakhti ka ba-juz is ke nahin koi 'ilaj sham-e-gham aae to ummid-e-sahar bhi chahiye yun ilaj-e-dard-e-dil ka faeda kya ai tabib koi nuskha is ki khatir kargar bhi chahiye dahr mein insaniyat ki sar-bulandi ke liye pahle apne aap mein is ka asar bhi chahiye dosti ke waste meri faqat ek shart hai dost dil ka saf ho jo be-zarar bhi chahiye roti kapda aur makan hi hajat-e-insan nahin dusron ka pyar is ko 'umr-bhar bhi chahiye khud-shanasi zindagi hai khud-pasandi maut hai ai 'bashir' is baat ki tujh ko khabar bhi chahiye