sitam-rasidon ke jazbaat aazmao nahin jo tar tut gae un ko gudgudao nahin main ek barg hun aur wo bhi barg-e-pazhmurda hawao dhire chalo mujh ko aazmao nahin hamein khud apni mohabbat pe naz hai yaro hamare chaak-e-gareban pe muskurao nahin pade na baad mein pachhtana tum ko ai yaro giran na ho to khulus is qadar badhao nahin har ek shakhs ka apna mizaj hota hai kisi ko dekh ke is tarah muskurao nahin nahin hai dosh kisi ka hue hain khud barbaad chalo bhi khatm karo baat ko badhao nahin ye kis ne kah diya tujh se ye baat jhuti hai tere farogh ko tujh se koi lagaw nahin