aansu ki tarah dida-e-pur-ab mein rahna har gam mujhe khana-e-sailab mein rahna wo abru-e-khamdar nazar aae to samjhe aankhon ki tarah saya-e-mehrab mein rahna ghaflat hi mein katte hain shab-o-roz hamare har aan kisi dhyan kisi khwab mein rahna din bhar kisi diwar ke sae mein tag-o-taz shab justuju-e-chadar-e-mahtab mein rahna virana-e-duniya mein guzarte hain mere din raaton ko rawaq-e-dil-e-betab mein rahna mitti to har ek haal mein mitti hi rahegi kya tat mein kya qaqum o sanjab mein rahna ghar aur bayaban mein koi farq nahin hai lazim hai magar ishq ke aadab mein rahna ek pal ko bhi aankhen na lagin khana-e-dil mein har lamha nigahbani-e-asbab mein rahna