aah be-asar nikli nala na-rasa nikla ek khuda pe takiya tha wo bhi aap ka nikla kash wo mariz-e-gham ye bhi dekhta aalam chaaragar ye kya guzri dard jab dawa nikla ahl-e-khair dube the nekiyon ki masti mein jo kharab-e-sahba tha bas wo parsa nikla khizr jaan kar hum ne jis se rah puchhi thi aa ke bich jangal mein kya bataen kya nikla gir gaya andhere mein tere mehr ka suraj dard ke samundar se chand yaad ka nikla ishq kya hawas kya hai bandish-e-nafas kya hai sab samajh mein aaya hai tu jo bewafa nikla jis ne di sada tum ko shama ban ke zulmat mein rah-gazidgan dekho kis ka naqsh-e-pa nikla ek nawa-e-rafta ki bazgasht thi 'qaisi' dil jise samajhte the dasht-e-be-sada nikla