duniya bhi pesh aai bahut be-rukhi ke sath hum ne bhi zakhm khae badi sadgi ke sath ek musht-e-khak aag ka dariya lahu ki lahr kya kya riwayaten hain yahan aadmi ke sath apnon ki chahaton ne bhi kya kya diye fareb rote rahe lipat ke har ek ajnabi ke sath jangal ki dhup chhanw hi jangal ka husn hai sayon ko bhi qubul karo raushni ke sath tum raste ki gard na ho jao to kaho do-chaar gam chal ke to dekho kisi ke sath koi dhuan utha na koi raushni hui jalti rahi hayat badi khamushi ke sath