dil ke har zakhm ko palkon pe sajaya to gaya aap ke nam pe ek jashn manaya to gaya mai-e-kohna na sahi khun-e-tamanna hi sahi ek paimana mere samne laya to gaya khair apna nahin baghi hi samajh kar hum ko teri mahfil mein kisi taur bulaya to gaya ab ye baat aur ki zindan mein bhi zanjiren hain hum ko gulshan ki balaon se bachaya to gaya dar pe chadh ke bhi khush hain ki hamein is dil mein is bahane hi sahi apna banaya to gaya ab ye qismat hi na jage to kare kya koi roz-o-shab ek naya tufan uthaya to gaya kya hai manzil se agar ho gae hum dur 'akhtar' rahbaron ke hamein halqe se nikala to gaya