aah-e-sahar ne sozish-e-dil ko mita diya us baw ne hamein to diya sa bujha diya samjhi na baad subh ki aa kar utha diya is fitna-e-zamana ko nahaq jaga diya poshida raaz-e-ishq chala jae tha sau aaj be-taqati ne dil ki wo parda utha diya us mauj-khez dahr mein hum ko qaza ne aah pani ke bulbule ki tarah se mita diya thi lag us ki tegh ko hum se sau ishq ne donon ko marke mein gale se mila diya sab shor-e-ma-o-man ko liye sar mein mar gae yaron ko is fasane ne aakhir sula diya aawargan-e-ishq ka puchha jo main nishan musht-e-ghubar le ke saba ne uda diya ajza badan ke jitne the pani ho bah gae aakhir gudaz ishq ne hum ko baha diya kya kuchh na tha azal mein na tala jo the durust hum ko dil-shikasta qaza ne dila diya goya muhasba mujhe dena tha ishq ka us taur dil si chiz ko main ne laga diya muddat rahegi yaad tere chehre ki jhalak jalwe ko jis ne mah ke ji se bhula diya hum ne to sadgi se kya ji ka bhi ziyan dil jo diya tha so to diya sar juda diya boi kabab sokhta aai dimagh mein shayad jigar bhi aatish-e-gham ne jila diya taklif dard-e-dil ki abas ham-nashin ne ki dard-e-sukhan ne mere sabhon ko rula diya un ne to tegh khinchi thi par ji chala ke 'mir' hum ne bhi ek dam mein tamasha dikha diya