tumhaare ishq pe dil ko jo man tha na raha sitara ek sar-e-asman tha na raha wo aur the ki jo na-khush the do jahan le kar hamare pas to bas ek jahan tha na raha tu apni fath ka ailan kar main haar gai wo hausla ki mujhe jis pe man tha na raha wahi kahani hai kirdar bhi wahi hain magar jo ek nam sar-e-dastan tha na raha sadaen doge palat kar kabhi to dekhoge hamare dil mein ye mubham guman tha na raha