aah mein kuchh nazar aai na asar ki surat

aah mein kuchh nazar aai na asar ki surat
ye wo hai nakhl ki dekhi na samar ki surat

apni aaghosh mein wo mah-laqa sham se hai
ya-ilahi nazar aae na sahar ki surat

josh aaya na mere dil ki tarah se us ko
abr barsa na kabhi dida-e-tar ki surat

kar diya hai gham-e-furqat ne mujhe zar aisa
gum hun nazron se magar un ki kamar ki surat

surkh-ru main jo hua naqd-e-shahadat pa kar
ru-siyah ho gae aghyar sipar ki surat

phir farishte na kabhi hur ki surat dekhen
dekh paen jo mere rashk-e-qamar ki surat

phulne phalne ki ummid thi 'wahbi' ek din
kar diya ishq ne ab khushk shajar ki surat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close