dil mein us bani-e-be-dad ke ghar hone do

dil mein us bani-e-be-dad ke ghar hone do
rafta-rafta meri aahon ka asar hone do

ab to wo fart-e-mohabbat se ye farmate hain
ghar na jaenge jo hoti hai sahar hone do

shauq se hathon mein mehndi malo tum to apne
khun hota hai agar mera jigar hone do

zulf sarkao zara aariz-e-taban se kabhi
chandni raat ko ai rashk-e-qamar hone do

sard-mehri se na ek aan bhi baz aao tum
ruh meri hai agar garm-e-safar hone do

mehr-o-ulfat hi mein is tarah ke hote hain kalam
roz hota hai agar wasl mein shar hone do

tegh-e-abru ke abhi war abas karte ho
tum mujhe bhi to zara sina-sipar hone do

muddaton se wo yunhi talte hain wada-e-wasl
sham hoti hai to kahte hain sahar hone do

na koi fikr kisi tarah karo tum 'wahbi'
umr jis tarah se hoti hai basar hone do


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close