aah-o-nala hai ashk-bari hai hijr mein shakl ye hamari hai subh-e-wasl ab nasib ho ki na ho hijr ki raat hum pe bhaari hai mar-mite hum to tum pe aur tumhein aaj tak hum se parda-dari hai teri shamshir-e-hijr ka qatil dil-e-ashiq pe zakhm-e-kari hai un ki jaanib se hai ghurur-e-sitam meri jaanib se inkisari hai hain jo sarshaar-e-baada-e-ulfat un ki azmat bhi hoshiyari hai qatl-e-ushshaq ke liye qatil nigah-e-naz ki katari hai bosa apni jabin ka den wo hamein aisi qismat kahan hamari hai sham se hijr-e-yar mein ta-subh hum ne ro ro ke shab guzari hai be-hijabi hai teri dushman se aur aashiq se parda-dari hai aap ke husn ki malahat se pani chah-e-zaqan ka khaari hai khat-e-rukhsar-e-yar ai 'sabir' bagh-e-jannat ki sabz kyari hai