ab tarz-e-amal un ki badal jae to achchha haal-e-dil-e-nashad sanbhal jae to achchha har roz sunata hun use qissa-e-ulfat afsun ye mera yar pe chal jae to achchha bechain raha karta hun rahne se main us ke sine se mere dil hi nikal jae to achchha josh-e-mai-e-ulfat se na phat jae khum-e-dil aankhon se ubal kar ye nikal jae to achchha dil rashk se sulgate hain 'sabir' ka wo har roz iksir bane aisa ye jal jae to achchha