aah-o-nala ne kuchh asar na kiya hijr ki sham ko sahar na kiya talkhi-e-sabr khush-gawar hui zahr ne bhi mujhe asar na kiya sar ko phoda jo kohkan ne to kya ishq mein kis ne nazr-e-sar na kiya kaun si aisi aafat aai jab aasman ne mujhe sipar na kiya kanpta hai wo dil ghazab se tere jis ne ai but khuda ka dar na kiya jis ne dekha wo roe aatishnak phir guman use ne barq par na kiya kuch apna bhi ho gaya 'ahqar' gham-o-andoh ne safar na kiya