aasman par hai dimagh us ka khud-arai ke sath mah ko taulega shayad apni ranai ke sath sair kar aalam ki ghafil didani hai ye tilism lutf hai in donon aankhon ka to binai ke sath dil kahin hai jaan kahin hai main kahin aankhen kahin dosti achchhi nahin mahbub harjai ke sath is mein zikr-e-yar hai is mein khayal-e-yar hai apni khamoshi bhi ham-palla hai goyai ke sath ahd-e-piri mein wo aalam naujawani ka kahan walwale jate rahe sari tawanai ke sath dida-e-ahu kahan wo ankhdiyan kali kahan kya muqabil kijiye shahri ko sahrai ke sath dil nahin gurg-e-baghal hai zabt se khun kar use kar-e-dushman karte hain ai dost danai ke sath ek bose par gareban-gir ai nadan na ho teri ruswai bhi hai aashiq ki ruswai ke sath dil to diwana hai 'ahqar' tu bhi diwana na ho koi saudai bana karta hai saudai ke sath